😿😿😿🥹🥹🥹
Tumhara naam likh-likh kar
mitana bhool jata hoon.
Tumhein jab yaad karta hoon
bhoolana bhool jata hoon.
Bohat si aisi baatein hain
jo mere dil mein rehti hain,
Magar jab tum se milta hoon
sunana bhool jata hoon.
Tumhare baad ab har pal
bari mushkil se kat-ta hai.
Main aksar tumko khwabon mein
batana bhool jata hoon.
Main har shaam kehta hoon
ke tum ko bhool jaon ga,
Magar jab subha hoti hai
bhoolana bhool jata hoon.